yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
mujh ko sameT lo ki bikharne laga hun main
chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main
shayad nigah-e-waqt se Darne laga hun main
par taulne lagi hain jo unchi uDan ko
un KHwahishon ke pankh katarne laga hun main
aata nahin yaqin ki un ke KHayal mein
phir aaftab ban ke ubharne laga hun main
kya baat hai ki apni tabiat ke bar-KHilaf
de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main
Ghazal
Yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
Faragh Rohvi