yar nikla hai aaftab ki tarah
kaun si ab rahi hai KHwab ki tarah
chashm-e-mast-e-siyah ki yaad mudam
shisha-e-dil mein hai sharab ki tarah
kabhu KHamosh hun kabhu goya
sarnawisht hai meri kitab ki tarah
past ho chal misal dariya ke
KHema barpa na kar habab ki tarah
pa-bosi kun us ka hai gar shauq
qad kun apne bana rikab ki tarah
saf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ek rang bich aab ki tarah
piw piwe hai sharab 'hatim' sath
kyun na dushman jale kabab ki tarah
Ghazal
Yar nikla hai aaftab ki tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim