yar ko hum ne ja baja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hua kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
did apne ki thi use KHwahish
aap ko har tarah bana dekha
surat-e-gul mein khil-khila ke hansa
shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
shama ho kar ke aur parwana
aap ko aap mein jala dekha
kar ke dawa kahin anal-haq ka
bar-sar-e-dar wo khincha dekha
tha wo bartar shuma-o-ma se niyaz
phir wahi ab shuma-o-ma dekha
kahin hai baadshah-e-taKHt-nashin
kahin kasa liye gada dekha
kahin aabid bana kahin zahid
kahin rindon ka peshwa dekha
kahin wo dar libas-e-mashuqan
bar-sar-e-naz aur ada dekha
kahin aashiq 'niyaz' ki surat
sina-e-bariyan-o-dil-jala dekha

Ghazal
Yar ko humne ja baja dekha
Niyaz Barelvi