اردو हिंदी
Yar ke ruKH ne kabhi itna na hairan kiya | Shaahi Shayari
yar ke ruKH ne kabhi itna na hairan kiya

Ghazal

Yar ke ruKH ne kabhi itna na hairan kiya

Raza Azimabadi

;

yar ke ruKH ne kabhi itna na hairan kiya
fikr-e-sar-e-zulf ne jaisa pareshan kiya

aisa kisi se junun dast-e-gareban na ho
chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya

kar chuka tha zahr-e-rashk parde mein kar apna lek
tegh-e-judai ne zor kar-e-numayan kiya

ishq tere hath se tu hi bata kya karen
wasl mein hairan kiya hijr mein giryan kiya

aish-o-gham-e-bagh-e-dahr wahm hai Tuk gul ko dekh
chaak kiya tu kahe main kahun KHandan kiya

us ka charagh-e-murad rahiyo farozan mudam
daghon se dil ko mere jis ne charaghan kiya

ishq ki kya tarbiyat tujh se kahun ai 'raza'
aah ko nala kiya nale ko afghan kiya