اردو हिंदी
Yar jab nainon mein aaya hu-ba-hu | Shaahi Shayari
yar jab nainon mein aaya hu-ba-hu

Ghazal

Yar jab nainon mein aaya hu-ba-hu

Alimullah

;

yar jab nainon mein aaya hu-ba-hu
jyun suna tyun us mein paya hu-ba-hu

qal kan hota muqabil haal ke
nur ka sab amr chhaya hu-ba-hu

mutrib-e-zati apas ke ishq sun
tar sirri ka bajaya hu-ba-hu

husn jo rakhta tha apni zat mein
sat sifatan mein dikhaya hu-ba-hu

jo atha maKHfi o baatin mein tamam
wo nikal apne sun paya hu-ba-hu

jun shajar mein tuKHm-e-hasil hai kamal
tyun 'alimullah' bataya hu-ba-hu