اردو हिंदी
Yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao | Shaahi Shayari
yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

Ghazal

Yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

Rind Lakhnavi

;

yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao
isa ko zara haalat-e-bimar dikhao

aa jao bas ab rah na ai yar dikhao
mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao

aalam hai so hai hijr mein yan josh-e-junun ka
sahra mujhe dikhlao ki gulzar dikhao

farda-e-qayamat ka na iqrar karo jaan
lo hashr sahi aaj hi didar dikhao

aashiq hain bahut ek to chun kar koi mujh sa
pushte ki tarah pusht-ba-diwar dikhao

aalam nazar aa jae bahaar aur KHizan ka
hum zard hon tum phul se ruKHsar dikhao

talwar lagao mujhe goli se na maro
til Dhank lo aur abru-e-KHamdar dikhao

har dam mutaqazi hai yahi hasrat-e-didar
phir ek nazar jalwa-e-dildar dikhao

farmate ho aashiq hain mere tujh se hazaron
ai jaan ziyaada nahin do-chaar dikhao

ishq abru o mizhgan ka buto sath hai dam ke
KHanjar mujhe dikhlao ki talwar dikhao

main qabr se bhi 'rind' yahi kahta uThunga
mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao