yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun
apni basti se dur aa kar tanha hun
koi nahin hai mere jaisa chaaron or
apne gird ek bhiD saja kar tanha hun
jitne log hain utni hi aawazen hain
lahjon ka tufan uTha kar tanha hun
raushniyon ke aadi kaise jaanenge
aankhon mein do dip jala kar tanha hun
jis manzar se guzri thi main us ke sath
aaj usi manzar mein aa kar tanha hun
pani ki lahron par bahti aankhon mein
kitne bhule KHwab jaga kar tanha hun
mera pyara sathi kab ye jaanega
dariya ki aaghosh tak aa kar tanha hun
apna aap bhi kho dene ki KHwahish mein
us ka bhi ek nam bhula kar tanha hun
Ghazal
Yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun
Fatima Hasan