yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai
hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai
kaunain ki wusat bhi simaT jati hai jis mein
ai dil kahin tujh mein wo samaya to nahin hai
har shai se wo zahir hai ye ehsan hai us ka
KHud ko meri nazron se chhupaya to nahin hai
zulfon ki syahi mein ajab husn-e-nihan hai
ye raat usi husn ka saya to nahin hai
waqif hain tere dard se ai naghma-e-ulfat
hum ne tujhe har saz pe gaya to nahin hai
us ne jo likha tha kabhi sahil ki jabin par
us nam ko maujon ne miTaya to nahin hai
wo shahar ki is bhiD mein aata nahin 'afzal'
phir bhi chalo dekhen kahin aaya to nahin hai
Ghazal
Yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai
Afzal Allahabadi