yaadon ke bagh se wo hara-pan nahin gaya
sawan ke din chale gae sawan nahin gaya
Thahra tha ittifaq se wo dil mein ek bar
phir chhoD kar kabhi ye nasheman nahin gaya
har gul mein dekhta ruKH-e-laila wo aankh se
afsos qais dasht se gulshan nahin gaya
rakkha nahin musawwir-e-fitrat ne mu-qalam
shah-para ban raha hai abhi ban nahin gaya
main ne KHushi se ki hai ye tanhai iKHtiyar
mujh par laga ke wo koi qadghan nahin gaya
tha wada sham ka magar aae wo raat ko
main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya
dushman ko main ne pyar se raazi kiya 'shuur'
us ke muqable ke liye tan nahin gaya
Ghazal
Yaadon ke bagh se wo hara-pan nahin gaya
Anwar Shuoor