yaadon ka jazira shab-e-tanhai mein
masruf hai yaadon ki pazirai mein
ab bhi wahi izhaar-e-taghaful ka mizaj
ab bhi wahi andesha shanasai mein
isbaat nafi ho ki nafi ho isbaat
kyun jaun main alfaz ki gahrai mein
kuchh log to manzil ki KHabar bhi le aae
hum mast rahe lazzat-e-KHud-rai mein
chhoDun bhi KHayal un ka to kya hasil ho
kya KHak kami aaegi ruswai mein
aane mein masiha ko tha pahle hi hijab
naseh bhi tha andesha-e-ruswai mein
tafriq ke KHugar to sabhi ek hue
masruf hain hum log saf-arai mein
kis darja masarrat hai ki ab KHun-e-'shahid'
kaam aaya teri anjuman-arai mein
Ghazal
Yaadon ka jazira shab-e-tanhai mein
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri