اردو हिंदी
Yaad phir bhuli hui ek kahani aai | Shaahi Shayari
yaad phir bhuli hui ek kahani aai

Ghazal

Yaad phir bhuli hui ek kahani aai

Makhmoor Saeedi

;

yaad phir bhuli hui ek kahani aai
dil hua KHun tabiat mein rawani aai

subh-e-nau naghma-ba-lab hai magar ai Dubti raat
mere hisse mein teri marsiya-KHwani aai

zard-ru tha kisi sadme se ubharta suraj
ye KHabar Dubte taron ki zabani aai

har nai rut mein hum afsurda o dil-gir rahe
ya to guzre hue mausam ki jawani aai

pa gae zindagi-e-nau kai miTte hue rang
zehn mein jab koi taswir purani aai

KHushk patton ko chaman se ye samajh kar chun lo
hath shadabi-e-rafta ki nishani aai

yaad ka chand jo ubhra to ye aankhen huin nam
gham ki Thahri hui naddi mein rawani aai

dil ba-zahir hai subuk-dosh-e-tamanna 'maKHmur'
phir tabiat mein kahan ki ye girani aai