yaad paDta to nahin kab mera dekha hua hai
aisa lagta hai ki ye sab mera dekha hua hai
aur us but ki parastish mein naya kuchh bhi nahin
aur kyun dekhun use jab mera dekha hua hai
maut kuchh mere liye lae to lae shayad
zindagi ka to sabhi Dhab mera dekha hua hai
is dafa ishq ke jangal se nikal aaunga
rah ka sara fusun ab mera dekha hua hai
kis tarah husn ko lafzon mein muqaffal kar dun
kis tarah kah dun mera rab mera dekha hua hai

Ghazal
Yaad paDta to nahin kab mera dekha hua hai
Nadeem ahmad