yaad ki basti ka yun to har makan KHali hua
bas gaya tha jo KHala sa wo kahan KHali hua
raat bhar ek aag si jalti rahi thi aankh mein
aur phir din bhar musalsal ek dhuan KHali hua
KHud-ba-KHud ek dasht ne tashkil pai aur phir
lamha bhar mein ek shahr-e-be-karan KHali hua
aaj jab us lutf-e-saya ki zarurat thi hamein
kam-nasibi ye ki dast-e-mehrban KHali hua
rafta rafta bhar gaya har sud se apna bhi ji
rafta rafta dil se ehsas-e-ziyan KHali hua
aaj se hum bhi akele ho gae is bhiD mein
dhyan mein tha jo bhara sa aasman KHali hua
Ghazal
Yaad ki basti ka yun to har makan Khaali hua
Shahram Sarmadi

