yaad ke shahr meri jaan se guzar
qurb ke aaKHiri imkan se guzar
jal bujhi thi main tere khilne tak
ab meri KHak-e-pareshan se guzar
aks bunne laga sahra tere
mere suraj ruKH-e-taban se guzar
zaKHm gar mere ho kuchh aur ata
han abas nashtar o paikan se guzar
uTh chukin gul-suKHani ki rasmen
gosh-e-jaan harf-e-bahaaran se guzar
aaKHiri lau na bujha jae kahin
shab-e-jaan mein ruke mehman se guzar
ai mere abr meri miTTi ki
tishnagi par sar-e-mizhgan se guzar
aankh ab tirgi-e-gham se bujhi
ashk-e-KHun jashn-e-charaghan se guzar
Ghazal
Yaad ke shahr meri jaan se guzar
Shahida Tabassum