yaad hai ek ek lamhe ka khichao dekhna
raat ke qulzum mein sadiyon ka bahao dekhna
waqt se pahle na phaT jae ghubara zehn ka
phailne wale KHayalon ka dabao dekhna
wo to kho baiTha hai pahle hi se apni raushni
is diye ko dur hi se ai hawao dekhna
kuchh to hon mahsus tum ko zindagi ki uljhanen
shahriyon KHana-ba-doshon ke paDaw dekhna
warna do TukDon mein baT jaegi us ki zindagi
hai zarurat kitna dhage ko khichao dekhna
phir hawa se ruTh kar khola hai tu ne baadban
phir ghalat ruKH par na bah jae ye naw dekhna
Ghazal
Yaad hai ek ek lamhe ka khichao dekhna
Suraj Narayan