اردو हिंदी
Yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana | Shaahi Shayari
yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

Ghazal

Yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

Mohammad Sadiq Zia

;

yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana
yun fazaon mein simaTna ki ghaTa ho jaana

is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana
dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana

husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab
ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana

rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan
jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana

husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai
ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana

nai zanjir hai duniya ka har ek hangama
asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana

mast-e-pindar sahi saz-e-KHudi kyun chheDun
be-KHudi ko meri aata hai KHuda ho jaana

yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza
itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana