yaad-e-ayyame koi wajh-e-pareshani to thi
aankh yun KHali nahin thi is mein hairani to thi
lab pe mohr-e-KHamushi pahle bhi lagti thi magar
aah ki ruKHsat to thi ashkon ki arzani to thi
thi nazar ke samne kuchh to talafi ki umid
khet sukha tha magar dariya mein tughyani to thi
bazm se uTThe to kya KHalwat mein ja baiThe to kya
tark-e-duniya par bhi duniya jaani-pahchani to thi
dard ek jauhar hai paikar se gharaz rakhta nahin
aankh mein aansu na the lab par ghazal-KHwani to thi
Ghazal
Yaad-e-ayyame koi wajh-e-pareshani to thi
Kausar Jayasi