yaad-e-ayyam ki ham-rutba-e-rizwan hum the
baghban-e-chaman-e-mahfil-e-jaanan hum the
qabil-e-qatl na ai lashkar-e-mizhgan hum the
dil ki ujDi hui basti ke nigahban hum the
dhajjiyan jeb ki hathon mein hain aaj ai wahshat
jama-zebon se kabhi dast-o-gareban hum the
jaan li gesuon ne ulfat-e-ruKH mein aaKHir
kafiron ne hamein mara ki musalman hum the
ghair ke ghar ki taraf ke jo uThe the parde
itr baalon mein wo malte the pareshan hum the
qafas-e-tang mein ghuT ghuT ke na marte kyun-kar
naz-parwarda-e-aghosh-e-gulistan hum the
ruh taDpi hai pa-e-lala-e-sahra kya kya
fasl-e-gul josh pe thi qaidi-e-zindan hum the
dil ke dene mein tammul hamein hota kyun-kar
ye hasinon ki amanat thi nigahban hum the
aaj thi shab ko bahut dagh-e-jigar mein sozish
kahti thi un ki malahat namak-afshan hum the
shoala-e-husn se tha dud-e-dil apna awwal
aag duniya mein na aai thi ki sozan hum the
har taraf dahr mein tha zulf ki zanjir ka gul
magar ai josh-e-junun silsila-jumban hum the
qafile raat ko aate the udhar jaan ke aag
dasht-e-ghurbat mein jidhar ai dil-e-sozan hum the
kahte hain aariz-e-mahbub ki thi raat jo garm
chand par os paDi thi araq-afshan hum the
tauq minnat ke gale mein the wo din yaad karo
tum par us ahd mein bhi chaak-gareban hum the
dete phirte the hasinon ki gali mein aawaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairan hum the
Dub jate hain jo rah rah ke 'tashshuq' tare
misl-e-abr aaKHir-e-shab wasl mein giryan hum the
Ghazal
Yaad-e-ayyam ki ham-rutba-e-rizwan hum the
Taashshuq Lakhnavi