yaad aur gham ki riwayat se nikla hua hai
dil jo is waqt mere hat se nikla hua hai
muD ke dekhe bhi to patthar nahin hota koi
jaane kya shahr-e-tilismat se nikla hua hai
raat ye kaun sa mehman mere ghar aaya
sara ghar halqa-e-afat se nikla hua hai
hujra-e-hijr mein baiTha hai jo majzub-sifat
arsa-e-shor-e-munajat se nikla hua hai
lashkari ganw pe shab-KHun nahin marenge
hausla gasht pe kal raat se nikla hua hai
mante kab hain bhala unche makanon wale
shahr ka shahr mazafat se nikla hua hai
zar ka banda ho ki mahrumi ka mara hua shaKHs
jis ko dekho wahi auqat se nikla hua hai

Ghazal
Yaad aur gham ki riwayat se nikla hua hai
Tauqeer Taqi