yaad ashkon mein baha di hum ne
aa ki har baat bhula di hum ne
gulshan-e-dil se guzarne ke liye
gham ko raftar-e-saba di hum ne
ab usi aag mein jalte hain jise
apne daman se hawa di hum ne
din andheron ki talab mein guzra
raat ko shama jala di hum ne
rah-guzar bajti hai pael ki tarah
kis ki aahaT ko sada di hum ne
qasr-e-maani ke makin the phir bhi
tai na ki lafz ki wadi hum ne
gham ki tashrih bahut mushkil thi
apni taswir dikha di hum ne
Ghazal
Yaad ashkon mein baha di humne
Ghulam Mohammad Qasir