yaad aata hai roz o shab koi
hum se ruTha hai be-sabab koi
lab-e-ju chhanw mein daraKHton ki
wo mulaqat thi ajab koi
jab tujhe pahli bar dekha tha
wo bhi tha mausam-e-tarab koi
kuchh KHabar le ki teri mahfil se
dur baiTha hai jaan-ba-lab koi
na gham-e-zindagi na dard-e-firaq
dil mein yunhi si hai talab koi
yaad aati hain dur ki baaten
pyar se dekhta hai jab koi
choT khai hai bar-ha lekin
aaj to dard hai ajab koi
jin ko miTna tha miT chuke 'nasir'
un ko ruswa kare na ab koi
Ghazal
Yaad aata hai roz o shab koi
Nasir Kazmi