yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dil-dar bahut
un se dur basai basti jin se hamein tha pyar bahut
ek ek kar ke khili thin kaliyan ek ek kar ke phul gae
ek ek kar ke hum se bichhDe bagh-e-jahan mein yar bahut
husn ke jalwe aam hain lekin zauq-e-nazara aam nahin
ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke dawedar bahut
zaKHm kaho ya khilti kaliyan hath magar gul-dasta hai
bagh-e-wafa se hum ne chune hain phul bahut aur KHar bahut
jo bhi mila hai le aae hain dagh-e-dil ya dagh-e-jigar
wadi wadi manzil manzil bhaTke hain 'sardar' bahut
Ghazal
Yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dil-dar bahut
Ali Sardar Jafri