ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja
agle pahar ke sath hi pichhla pahar baja
aawaz-e-sur sun ke kaha dil ne qabr mein
kis ki baraat aai ye baja kidhar baja
kahte hain aasman jo tumhaare makan ko hum
kahta hai aaftab durust aur qamar baja
jago nahin ye KHwab ka mauqa musafiro
naqqara tak bhi coach ka waqt-e-sahar baja
tamir maqbare ki hai lazim bajae-qasr
zar-daron se kaho ki karen sarf-e-zar baja
hain hum to shadman ki hai KHat mein payam-e-wasl
baghlen KHushi se tu bhi to ai nama-bar baja
tujh ko nahin jo un se mohabbat kahan mujhe
tali na ek hath se ai be-KHabar baja
nafrat hai ye KHushi se ki ashk apne gir paDe
ham-rah taziya ke bhi baja agar baja
ja-e-qayam manzil-e-hasti na thi 'amir'
utre the hum sira mein ki kos-e-safar baja
Ghazal
Ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja
Ameer Minai