wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likkha
main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likkha
main ne likkha ki saf-e-dil kabhi KHali na hui
aur KHali jo hui bhi to malamat likkha
ye safar panw hilane ka nahin aankh ka hai
main ne is bab mein rukne ko masafat likkha
likhne walon ne to hone ka sabab likkha hai
main ne hone ko na hone ki wazahat likkha
ashk agar sab ne likhe main ne sitare likkhe
aajizi sab ne likhi main ne ibaadat likkha
main ne KHushbu ko likha dastaras-e-gumshudagi
rang ko fasla rakhne ki riayat likkha
zaKHm likhne ke liye main ne likhi hai ghaflat
KHun likhna tha magar main ne hararat likkha
main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage
aur hai baal-o-pari ko bhi nihayat likkha
husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha sau aazar-e-samaat likkha
itne dawon se guzar kar ye KHayal aata hai
'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likkha

Ghazal
Wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likkha
Azm Bahzad