اردو हिंदी
Wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha | Shaahi Shayari
wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha

Ghazal

Wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha

Azm Bahzad

;

wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha
main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha

main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage
aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha

main ne KHushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi
rang ko fasla rakhne ki riayat likkha

husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha

main ne tabir ko tahrir mein aane na diya
KHwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha

koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha

itne daon se guzar kar ye KHayal aata hai
'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha