wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye
ibtida ho to intiha kahiye
tere jaur-o-jafa ko kya kahiye
naz kahiye unhen ada kahiye
us sitamgar ko or kya kahiye
sare jhuTon ka peshwa kahiye
puchhna chahiye tabibon se
dard-e-dil ki hai ye dawa kahiye
hum bhi munh mein zaban rakhte hain
kuchh samajh kar bura bhala kahiye
ghairon ke samne bula ke mujhe
kahte hain dil ka muddaa kahiye
na koi yar hai na hai gham-KHwar
kis se ab dil ka majra kahiye
pite hain jo sharab masjid mein
aise logon ko parsa kahiye
sharm kya hai mujhe jo kahna ho
samne sab ke barmala kahiye
wo jafa-gar falak sitamgar hai
kise achchha kise bura kahiye
ghair sath aap ke maze luTen
hum uThaen jafaen kya kahiye
bhul kar le gaya su-e-manzil
aise rahzan ko rahnuma kahiye
chaar agar yar hain to das dushman
raaz dil ka na ja-ba-ja kahiye
jaan se gar gaya koi aashiq
ishq ki is ko ibtida kahiye
kya yahi shart hai mohabbat ki
be-wafaon ko ba-wafa kahiye
shaiKH pite hain jo mai-e-ulfat
us ko kis tarah narawa kahiye
dil ka sine ka aur jigar ka haal
hai ye wajib juda juda kahiye
haal sunte nahin mera na suno
apne dil ka to majra kahiye
'mashriqi' chhoDiye buton ka zikr
subh uTh kar KHuda KHuda kahiye

Ghazal
Wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi