wo zulm-o-sitam Dhae aur mujh se wafa mange
jaise koi gul kar ke dipak se ziya mange
jina baDi neamat hai jine ka chalan sikhen
achchha to nahin koi marne ki dua mange
gham bhi hai udasi bhi tanhai bhi aansu bhi
sab kuchh to mayassar hai dil mange to kya mange
aain-e-watan par to dil war chuke apna
namus-e-watan hum se ab rang-e-hina mange
auqat hai kya us ki wo pesh-e-nazar rakkhe
insan na koi apne daman se siwa mange
ramta hua jogi hun bahta hua pani hun
hargiz na koi mujh se ab mera pata mange
phir chehra-e-qatil ki nazron ko zarurat hai
phir kucha-e-qatil ki dil aab-o-hawa mange
wo sair-e-gulistan ko 'firdaus' jo aa jae
muskan kali chahe raftar-e-saba mange
Ghazal
Wo zulm-o-sitam Dhae aur mujhse wafa mange
Firdaus Gayavi