اردو हिंदी
Wo un ka hijab aur nazakat ke nazare | Shaahi Shayari
wo un ka hijab aur nazakat ke nazare

Ghazal

Wo un ka hijab aur nazakat ke nazare

Asar Rampuri

;

wo un ka hijab aur nazakat ke nazare
aae wo shab-e-wada tasawwur ke sahaare

wo kali ghaTa aur wo baDhte hue dhaare
zahid bhi agar dekhe to saqi ko pukare

wo jalwa-gah-e-naz wo maKHmur nigahen
ab kya kahun ye lamhe kahan main ne guzare

KHud husn ka mear nira zauq-e-nazar hain
utne hi hasin aap hain jitne mujhe pyare

be-wajh nahin husn ki tanwir mein tabish
wo dete hain KHakistar-e-ulfat ke sharare

tum chaho to do lafzon mein tai hote hain jhagDe
kuchh shikwe hain beja mere kuchh uzr tumhaare

phir jam-ba-kaf ho gai har chiz 'asar' aaj
yaad aa gae phir madh-bhari aankhon ke ishaare