اردو हिंदी
Wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use | Shaahi Shayari
wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use

Ghazal

Wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use

Sada Ambalvi

;

wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use
dil ko kyun zid hai ki aaghosh mein bharna hai use

kyun sada pahne wo tera hi pasandida libas
kuchh to mausam ke mutabiq bhi sanwarna hai use

us ko gulchin ki nigahon se bachae maula
wo to ghuncha hai abhi aur nikharna hai use

har taraf chahne walon ki bichhi hain palken
dekhiye kaun se raste se guzarna hai use

dil ko samjha len abhi se to munasib hoga
ek na ek roz to wade se mukarna hai use

hum ne taswir hai KHwabon ki mukammal kar li
ek rang-e-hina baqi hai jo bharna hai use

KHwab mein bhi kabhi chhuna to wazu kar ke 'sada'
kabhi maila kabhi ruswa nahin karna hai use