wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak
aaya tha KHuda yaad KHuda yaad hai ab tak
chhalki hui aankhon mein mai-e-surKH ke Dore
zulfon ki wo lahrai ghaTa yaad hai ab tak
wo jism ki KHushbu ki pur-asrar si lapTen
wo moajiza-e-mauj-e-saba yaad hai ab tak
wo chandi ke pani se dhule aariz-o-ruKH par
kaifiyyat-e-sad-rang-e-hina yaad hai ab tak
thi jis ko ba-har-gam sahaare ki zarurat
mujh ko wo teri laghzish-e-pa yaad hai ab tak
wo baaton hi baaton mein bigaD jaane ke andaz
wo ruTh ke manne ki ada yaad hai ab tak
qurbat ki tamanna ko sameTe hue duri
wo apni KHudi teri ana yaad hai ab tak
jo sar ba-hama-e-zoam jhuka tha tere aage
jo dil ki tha raazi-ba-raza yaad hai ab tak
halke se ishaare pe wo jaan dene ki KHwahish
wo daur-e-junun ahd-e-wafa yaad hai ab tak
kya tujh ko wafaon ki ada yaad rahegi
mujh ko to tera tarz-e-jafa yaad hai ab tak
ab saKHti-e-dauran ki kaDi dhup hai aur hum
lekin tere kuche ki hawa yaad hai ab tak

Ghazal
Wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak
Sajjad Baqar Rizvi