wo taDap jae ishaara koi aisa dena
us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena
apni taswir banaoge to hoga ehsas
kitna dushwar hai KHud ko koi chehra dena
is qayamat ki jab us shaKHs ko aankhen di hain
ai KHuda KHwab bhi dena to sunahra dena
apni tarif to mahbub ki kamzori hai
ab ke milna to use ek qasida dena
hai yahi rasm baDe shahron mein waqt-e-ruKHsat
hath kafi hai hawa mein yahan lahra dena
in ko kya qile ke andar ki fazaon ka pata
ye nigahban hain in ko to hai pahra dena
patte patte pe nai rut ke ye likh den 'azhar'
dhup mein jalte hue jismon ko saya dena
Ghazal
Wo taDap jae ishaara koi aisa dena
Azhar Inayati