wo taza-dam hain nae shoabde dikhate hue
awam thakne lage taliyan bajate hue
sambhal ke chalne ka sara ghurur TuT gaya
ek aisi baat kahi us ne laDkhaDate hue
ubhaarti hui jazbaat ko ye taswiren
ye inqalab hamare gharon mein aate hue
isi liye ki kahin un ka qad na ghaT jae
salam ko bhi wo Darte hain hath uThate hue
is aadmi ne bahut qahqahe lagae hain
ye aadmi jo larazta hai muskuraate hue
jawan ho gai ek nasl sunte sunte ghazal
hum aur ho gae buDhe ghazal sunate hue
hua ujala to hum un ke nam bhul gae
jo bujh gae hain charaghon ki lau baDhate hue
yahi usul hai islah-e-haal ka 'azhar'
ki pur-KHulus hon hum KHamiyan ginate hue
Ghazal
Wo taza-dam hain nae shoabde dikhate hue
Azhar Inayati