wo siwa yaad aae bhulane ke baad
zindagi baDh gai zahr khane ke baad
dil sulagta raha aashiyane ke baad
aag ThanDi hui ek zamane ke baad
raushni ke liye dil jalana paDa
aisi zulmat baDhi tere jaane ke baad
jab na kuchh ban paDa arz-e-gham ka jawab
wo KHafa ho gae muskurane ke baad
dushmanon se pasheman hona paDa
doston ka KHulus aazmane ke baad
ranj had se guzar ke KHushi ban gaya
ho gae par hum Dub jaane ke baad
baKHsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht
mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad
kaise kaise gile yaad aae 'KHumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
Ghazal
Wo siwa yaad aae bhulane ke baad
Khumar Barabankavi