wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?
tu usi ko pyar kare hai kyun ye 'kalim' tujh ko hua hai kya?
tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya?
kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya?
tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan
tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya?
tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh o ghazal-ba-lab
tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya?
ye kahan se aai hai surKH-ru hai har ek jhonka lahu lahu
kaTi jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya?
abhi tera daur-e-shabab hai abhi kya hisab-o-kitab hai
abhi kya na hoga jahan mein abhi is jahan mein hua hai kya?
yahi ham-nawa yahi ham-suKHan yahi ham-nishan yahi ham-watan
meri shairi hi bataegi mera nam kya hai pata hai kya?
Ghazal
Wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?
Kaleem Aajiz