wo shaKHs to mujhe hairan karta jata tha
ki zaKHm de ke mujhe un ko bharta jata tha
daricha kholte jo hath un mein thi zanjir
gali se ek musafir guzarta jata tha
banae jata tha main apne hath ko kashkol
so meri ruh mein KHanjar utarta jata tha
use malal se takti thin ganw ki galiyan
wo naghma-gar jo siye lab guzarta jata tha
banae jata tha us ko hasin na jaane kaun
badan wo phul na tha aur nikharta jata tha
talash-e-zar mein jawan kuch karte jate the
'kamal' ganw ka sab husn marta jata tha
Ghazal
Wo shaKHs to mujhe hairan karta jata tha
Hasan Akbar Kamal