wo shah-e-husn jo be-misl hai hasinon mein
kabhi faqir bhi tha un ke ham-nashinon mein
agar hayat hai dekhenge ek din didar
ki mah-e-id bhi aaKHir hai in mahinon mein
na iKHtilat na wo aankh hai na wo chitwan
ye kya sabab ki paDa farq sab qarinon mein
nahin buton ke tasawwur se koi dil KHali
KHuda ne un ko diye hain makan sinon mein
maal-e-kar wahi sab ka hai wahi aaghaz
hazar farq karen KHud-parast dinon mein
abas haris hawas se zalil hote hain
amiT hai 'barq' jo tahrir hai jabinon mein
Ghazal
Wo shah-e-husn jo be-misl hai hasinon mein
Mirza Raza Barq