اردو हिंदी
Wo sard dhup ret samundar kahan gaya | Shaahi Shayari
wo sard dhup ret samundar kahan gaya

Ghazal

Wo sard dhup ret samundar kahan gaya

Sidra Sahar Imran

;

wo sard dhup ret samundar kahan gaya
yaadon ke qafile se december kahan gaya

kuTiya mein rah raha tha kai sal se jo shaKHs
tha ishq nam jis ka qalandar kahan gaya

tufan tham gaya tha zara der mein magar
ab sochti hun dil se guzar kar kahan gaya

teri gali ki mujh ko nishani thi yaad par
diwar to wahin hai tera dar kahan gaya

chae ke talKH ghunT se uThta hua ghubar
wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya

us ki siyah rang se nisbat ajib thi
wo KHush-libas hijr pahan kar kahan gaya

rakkha nahin tha lauh-e-mohabbat pe aaj phul
kis baat par KHafa tha mujawir kahan gaya