wo sar se panw talak chahaton mein Duba tha
wo shaKHs kya tha mohabbat ka istiara tha
na chand tha na sitara na phul tha na dhanak
wo phir bhi husn ki duniya mein ek izafa tha
mujhe pata hi nahin kab wo lafz-e-kun ban kar
mere wajud ke diwar-o-dar mein gunja tha
ajib baat hai dekha na tha kisi ne use
ajib baat hai ghar ghar usi ka charcha tha
kisi se koi gharaz thi na koi aas us ko
wo sari bhiD se kaT kar akela rahta tha
samundaron se thi gahrai us ki sochon mein
wo apni zat mein ek kaenat jita tha
'KHumar' nam ke shair se mil chuka hun main
udasiyon ke ghane jangalon mein rahta tha
Ghazal
Wo sar se panw talak chahaton mein Duba tha
Suleman Khumar

