اردو हिंदी
Wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai | Shaahi Shayari
wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai

Ghazal

Wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai

Khaqan Khavar

;

wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai
mera andaza meri bhul bhi ho sakta hai

ab pas-e-abr hai jab abr se bahar nikla
wo chamak sakta hai maqbul bhi ho sakta hai

dur se dekha hai nazdik se bhi dekhunga
phul sa lagta hai jo phul bhi ho sakta hai

aaj ki shab bhi sitaron ne agar sath diya
dil jo be-kar hai mashghul bhi ho sakta hai

kyun samajhta hun ki aata hai wo meri KHatir
sair us shaKHs ka mamul bhi ho sakta hai

taKHt tabdil bhi ho sakta hai taKHte mein kabhi
apne ohde se wo mazul bhi ho sakta hai

jaanta kaun tha 'KHawar' wo daraKHshan tara
gir ke aankhon se kabhi dhul bhi ho sakta hai