wo sanglaKH zaminon mein sher kahta tha
ajib shaKHs tha khilta gulab jaisa tha
sulagte jism pe mere gulon ka saya tha
tere wajud ka wo lams kitna mahka tha
jo aashna the bahut ajnabi se lagte the
wo ajnabi tha magar aashna sa lagta tha
parind sham Dhale ghonslon ki samt chale
charagh jalte hi us ko bhi lauT aana tha
usi daraKHt ko mausam ne be-libas kiya
main jis ke sae mein thak kar udas baiTha tha
hamare gird wahi aahani salaKHen hain
siyah raat ka kaTna to ek dhoka tha
charagh donon kinaron ke bujh gae 'saghar'
hamari rah mein hael lahar ka dariya tha

Ghazal
Wo sanglaKH zaminon mein sher kahta tha
Imtiyaz Saghar