wo samajhta hai use jo raaz-dar-e-naghma hai
aah kahte hain jise sirf ek sharar-e-naghma hai
munhasir jis par azal se karobar-e-naghma hai
dard ki aankhon mein wo KHwab-e-bahaar-e-naghma hai
zinda rahne ki tamanna ho to phir kya kuchh na ho
dil ke sannaTe pe mujh ko e'tibar-e-naghma hai
kis se kije aur kyun kije bayan-e-soz-e-dil
ye bhari duniya to yaro pasdar-e-naghma hai
aur bhi do-gam ai mahrum-e-aish-e-zindagi
hadd-e-girya se zara aage dayar-e-naghma hai
naghma-zan hun yun ki yaron ka bharam qaem rahe
warna mahfil ki faza na-saz-gar-e-naghma hai
ab hai lahje mein nukila-pan labon par zahr-e-KHand
ab yaqin aaya ki 'nazish' raaz-dar-e-naghma hai
Ghazal
Wo samajhta hai use jo raaz-dar-e-naghma hai
Nazish Partap Gadhi