wo sair-e-gul ke waste aa hi nahin raha
so ab wo lutf-e-ab-o-hawa hi nahin raha
shayad ukhaD gaya teri yaadon se rang-e-lams
hathon ko tere shauq-e-hina hi nahin raha
kyun kaTti nahin hai mera dard mauj-e-mai
kya ai sharab tujh mein nasha hi nahin raha
le kar to aa gae ho shikayat ka tum jawab
par ab to tum se koi gila hi nahin raha
main kitni kitni der manata raha use
ruTha hun aaj to wo mana hi nahin raha
kya us ko main wafa ke taqaze bataun ab
jab wo wafa ka ahd nibha hi nahin raha
kuchh roz se udas hai dil aur bahut udas
aur kyun udas hai ye bata hi nahin raha

Ghazal
Wo sair-e-gul ke waste aa hi nahin raha
Syed Kashif Raza