wo sach ke chehre pe aisa naqab chhoD gaya
ruKH-e-hayat pe jaise azab chhoD gaya
natija koshish-e-paiham ka yun hua ulTa
main aasman pe mauj-e-sarab chhoD gaya
wo kaun tha jo meri zindagi ke daftar se
huruf le gaya KHali kitab chhoD gaya
bahaar ban ke wo aaya gaya bhi shan ke sath
ki zard patton pe rang-e-gulab chhoD gaya
mere lahu mein jo aaya tha mehman ban kar
meri ragon mein wo ek aaftab chhoD gaya
gaya to sath wo leta gaya har ek naghma
KHala ki god mein TuTa rubab chhoD gaya
mila na jazba-e-tashkik ko libas koi
wo har sawal ka aisa jawab chhoD gaya
bikherta hai 'karamat' jo dard ki kirnen
wo KHwab zehn mein ek mahtab chhoD gaya
Ghazal
Wo sach ke chehre pe aisa naqab chhoD gaya
Karamat Ali Karamat