wo ru-ba-ru hon to ye kaif-e-iztirab na ho
KHuda kare nigah-e-shauq kaamyab na ho
sawal kya ho ki un ki KHamosh nazron mein
na de sake jo wo ab tak wahi jawab na ho
ye kya guman hai ki waqt-e-sahar ki bedari
jo raat bit chuki hai usi ka KHwab na ho
ye inhitat-e-junun ye KHirad ki sust-rawi
kahin ye KHamushi az-qabl-e-inqalab na ho
kahin junun mein ye mera kamal-e-hosh-o-KHirad
teri nigah-e-taghaful ka pech-o-tab na ho
junun-e-gham hai mera parda-e-hijab se dur
ki la-jawab tera husn-e-la-jawab na ho
suna hai wo ruKH-e-zeba naqab mein hai 'sahab'
kahin ye hasti-e-mauhum hi naqab na ho

Ghazal
Wo ru-ba-ru hon to ye kaif-e-iztirab na ho
Shiv Dayal Sahab