wo rokta hai mujhe shahr mein nikalne se
bhaDak uThun na kahin aandhiyon mein jalne se
ye tarz-e-talKH-nawai kuchh itni sahl nahin
zaban pe aable paD jaen sach ugalne se
KHala hawai sahaaron se pur nahin hota
buland hota hai insan kahin uchhalne se
KHud apne-ap se poshida rahna na-mumkin
nazar badalti nahin aaina badalne se
khaDa hun main kisi girti hui fasil pe kya
tawazun aur bigaDne laga sambhalne se
baDe KHulus se mangi thi raushni ki dua
baDha kuchh aur andhera charagh jalne se
luTa diya jinhen jiti hui raqam ki tarah
wo din palaT to na aaenge hath milne se
chhaTegi kaise 'muzaffar' siyahi qismat ki
nikal to aaega KHurshid raat Dhalne se

Ghazal
Wo rokta hai mujhe shahr mein nikalne se
Muzaffar Warsi