اردو हिंदी
Wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin | Shaahi Shayari
wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin

Ghazal

Wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin

Farigh Bukhari

;

wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin
kisi ne aaj talak ye suragh paya nahin

kahan se laun wo dil jo tera bura chahe
udu-e-jaan tera dukh bhi koi paraya nahin

teri sabahat-e-sad-rang mein bikhar jaun
abhi wo lamha meri zindagi mein aaya nahin

tere wajud pe angDai ban ke TuTa hai
wo naghma jo kisi mutrib ne gungunaya nahin

nai-naweli zaminon ki sondhi KHushbu mein
wo chandni hai ki jis mein koi nahaya nahin

hum ek fikr ke paikar hain ek KHayal ke phul
tera wajud nahin hai to mera saya nahin

wo bab jis mein tawanaiyon ki KHushbu hai
fasana-saz ne 'farigh' kabhi sunaya nahin