wo raat be-panah thi aur main gharib tha
wo jis ne ye charagh jalaya ajib tha
wo raushni ki aankh uThai nahin gai
kal mujh se mera chand bahut hi qarib tha
dekha mujhe to taba rawan ho gai meri
wo muskura diya to main shaer adib tha
rakhta na kyun main ruh o badan us ke samne
wo yun bhi tha tabib wo yun bhi tabib tha
har silsila tha us ka KHuda se mila hua
chup ho ki lab-kusha ho bala ka KHatib tha
mauj-e-nashat o sail-e-gham-e-jaan the ek sath
gulshan mein naghma-sanj ajab andalib tha
main bhi raha hun KHalwat-e-jaanan mein ek sham
ye KHwab hai ya waqai main KHush-nasib tha
harf-e-dua o dast-e-saKHawat ke bab mein
KHud mera tajraba hai wo be-had najib tha
dekha hai us ko KHalwat o jalwat mein bar-ha
wo aadmi bahut hi ajib-o-gharib tha
likkho tamam umar magar phir bhi tum 'alim'
us ko dikha na pao wo aisa habib tha
Ghazal
Wo raat be-panah thi aur main gharib tha
Obaidullah Aleem