اردو हिंदी
Wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya | Shaahi Shayari
wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya

Ghazal

Wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya

Fani Badayuni

;

wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya
hairan hun ki dun unhen is ka jawab kya

dil aur wo bhi sirf mera dardmand dil
teri nigah ne ye kiya intiKHab kya

jati nahin KHalish alam-e-rozgar ki
ai aasman hua wo tera inqilab kya

nazzara-e-jamal ki yan tab hi nahin
ai barq-e-husn chahiye tujh ko naqab kya

wada bhi kar lo wada pe yan aa bhi jao tum
ye sab sahi tumhaari nahin ka jawab kya

besh-az-guman KHwab nahin fursat-e-hayat
'fani' tum is KHayal ko samjhe ho KHwab kya