wo parinda hai kahan shab ko chahakne wala
raat-bhar nafa-e-gul ban ke mahakne wala
lukka-e-abr tha bas dekhne aaya tha mujhe
koi baadal to nahin tha wo chhalakne wala
rakh mein aankh mein phulon pe kasili shab mein
be-zarurat bhi to chamka hai chamakne wala
kis ki aawaz mein hai TuTte patton ki sada
kaun is rut mein hai be-wajh sisakne wala
chand ho roz badalte ho tumhaara kya hai
main samundar hun abad tak na bahakne wala
pi liya lauT gaya KHushk hua kuchh to bata
kya hua aankh se aansu wo Tapakne wala

Ghazal
Wo parinda hai kahan shab ko chahakne wala
Wazir Agha