اردو हिंदी
Wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein | Shaahi Shayari
wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein

Ghazal

Wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein

Ismail Merathi

;

wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein
hun wahm-e-judai se ajab ranj-o-mehan mein

maqsud ziyarat hai agar kaba-e-dil ki
ho garm-e-safar nahiya-e-mulk-e-watan mein

wo qamat-e-dilkash hai ajab fitna-e-alam
chhupta hi nahin pairahan-e-naud-kuhan mein

ai shama baha ashk chhupa raaz-e-mohabbat
KHakistar-e-parwana hai betab lagan mein

shorish meri beja hai na fariyaad nikammi
raunaq hai zara nala-e-bulbul se chaman mein

tasir ho kya KHak jo baaton mein ghaDat ho
kuchh baat nikalti hai to be-saKHta-pan mein

kam-tar hai do o dam se insan ba-maraatib
har dam jo taraqqi na kare chaal-chalan mein

hun main to wahi moatakif-e-gosha-e-uzlat
haalanki mera reKHta pahuncha hai deccan mein

ye sach hai ki sauda bhi tha ustad-e-zamana
meri to magar 'mir' hi tha sher ke fan mein